Song:
Karaoke:
Film 📽: Anpadh (1962)
Music 🎼 : Madan Mohan
Lyrics ✍ : Raja Mehdi Ali Khan
Singer 🎤: Lata Mangheshkar
hai isi mein pyaar ki aabru
wo zafaa karen main wafaa karoon
jo wafaa bhi kaam na aa sake
to wohi kahen ke main kyaa karoon
hai isi mein pyaar ki aabru
mujhe gham bhi unkaa azeez hai
ke unhin ki di huyi cheez hai
mujhe gham bhi unkaa azeez hai
ke unhin ki di huyi cheez hai
ke unhin ki di huyi cheez hai
yahi gham hai ab meri zindagi
ise kaise dil se judaa karoon
hai isi mein pyaar ki aabru
jo na ban sake main wo baat hoon
jo na khatm ho main wo raat hoon
jo na ban sake main wo baat hoon
jo na khatm ho main wo raat hoon
jo na khatm ho main wo raat hoon
ye likhaa hai mere naseeb mein
yoonhi shammaa banke jalaa karoon
hai isi mein pyaar ki aabru
na kisi ke dil ki hoon aarzoo
na kisi nazar ki hoon zustju
na kisi ke dil ki hoon aarzoo
na kisi nazar ki hoon zustju
na kisi nazar ki hoon zustju
main wo phool hoon jo udaas ho
na bahaar aaye to kyaa karoon
hai isi mein pyaar ki aabru
wo zafaa karen main wafaa karoon
jo wafaa bhi kaam na aa sake
to wohi kahen ke main kyaa karoon
hai isi mein pyaar ki aabru
Comments
Post a Comment